Duniya ki nazar mei pagalpan hoga,
Parr iss pagalpan se pyaar hai mujhe...
Agar der raat tak tere
Khayal jagaye rakhte hain,
Phir kuch ghante sojane parr
Tere khwaab chehre parr mere
Muskan banaye rakhte hain,
Aur phir bhi meri aankhei subah
Sabse pehle chehra tera
Dekhne ki khwaish rakhti hain,
Sabse pehle chehra tera
Dekhne ki khwaish rakhti hain,
Duniya ki nazar mei pagalpan hoga,
Parr iss pagalpan se pyaar hai mujhe...
Parr iss pagalpan se pyaar hai mujhe...
Agar kuch zada waqt guzar jaata hai
Aayne mei khudko nihaarkar,
Aur bewaqt hass deta hoo
Mehfil ki vajah bhoolkar,
Agar cheeze rakh deta hoon
Jagah badalkar,
Aur ghar pohonchta hoon
Raasta bhoolkar,
Phir bhi yaad rehti hai teri khushboo...
Aayne mei khudko nihaarkar,
Aur bewaqt hass deta hoo
Mehfil ki vajah bhoolkar,
Agar cheeze rakh deta hoon
Jagah badalkar,
Aur ghar pohonchta hoon
Raasta bhoolkar,
Phir bhi yaad rehti hai teri khushboo...
Duniya ki nazar mei pagalpan hoga,
Parr iss pagalpan se pyaar hai mujhe...
Parr iss pagalpan se pyaar hai mujhe...
Agar labo pe hai bass naam tera
Soch mei hai bass khayal tera,
Soch mei hai bass khayal tera,
Aur zubaan pe hain bas kisse tere,
Duniya ki nazar mei pagalpan hoga,
Parr iss pagalpan se pyaar hai mujhe...
---Rakshit Nair