Sunday, January 28, 2018

Iss Daud Mei...

Iss daud mei ki hal nikal loo
Zindagi k maslo-mushkilo ka,
Uljhano-pahelio ka;
Bhool gya ki kitna zaroori hai
Dil k zakhmo par marham lagana.
Bhool gya ki kitna zaroori hai
Unn zakhmo k dard ko mehsoos karna.

Bhoola nahi tha darasal,
Itna toh yaad hai mujhe ki hisaabse
Bachaake rakhe the chaar pal,
Ki kisi roz jab yeh daud khatam hogi
Toh chaar nahi toh do pal hi sahi,
Par nikalunga zaroor aur zakhmo par marham lagaunga,
Aur dard ko mehsoos karunga...

Aakhir dil toh apna hota haina.
Yeh toote ya roothe, hume jodna aur manana toh aata hi hai.
Kyunki aakhir dil toh apna hi haina,
Aur apno ko hi toh halke mei liya jaata hai...

Aaj mann bhar aaya
Daud toh khatam nahi hui
Parr dil tham sa gya
Socha aaj nikaal hi doo do pal
Unn palo se jo bachake rakhe the

Maange do pal the, par chaar mil gye.
Lekin marham lagane k liye zakhm nahi tha;
Voh sookh chuka tha.
Mehsoos karne k liye dard nahi tha;
Voh jaa chuka tha.
Apni yaad mei bass ghaav ka nishaan chhodkar...

Baat kuch aisi thi ki
Chaar pal k intezaar ne
Dil ko khud judna sikhadiya tha.
Roothne se kuch nahi milta
Yeh paath padha diya tha.
Yaani yun kaho, dil ne khudko theek karna seekh liya tha...

Dekha jaaye toh achhi baat hai,
Parr mujhe afsos hua.
Afsos hua kyunki ehsaas hua
Ki koi apna paraya hogya
Afsos hua ki halke mei liya
Parr sabse zada afsos toh iss baat ka hua
Ki iss afsos ka dard bhi mehsoos nahi hua...
---Rakshit Nair