Kaano ko aadat hai ek awaaz ki, chhudwani padegi
Aankho ko aadat hai ek chehre ki, chhudwani padegi
Zubaan ko aadat hai ek naam ki, chhudwani padegi
Saaso ko aadat hai ek khushboo ki, chhudwani padegi
Yeh sab toh chhoot jaengi waqt k chalte
Mushqil toh hai dil ki aadat chhudwana, fikar karne ki...
Parr iss baar waqt mere saath hai,
Dil ko fikar bass khudki hai...
Waqt saath hai toh yaadei kamzor padjati hain
Yaadei hain bhi kya? Beete hue waqt ka chhota sa ek pehlu
Waqt pehlu se bada hota hai.
Aur waqt mere saath hai...
Waqt ka jaadu yhi hai, yeh qatil bhi hai aur maseeha bhi
Yeh raat ka akelapan bhi hai aur din ki dosti bhi
Yeh sota hua sapna bhi hai aur jaagta hua khwaab bhi
Yeh kadwi sharab bhi hai aur adrak vali chai bhi
Yeh kal bhi hai, aaj bhi hai aur kal bhi
Mera man pasand aaj ka waqt hai... Yeh mere saath hai

---Rakshit Nair