Sunday, May 26, 2019

Shayad

Aaj tumhare tofe mei di hui ghadi toot gyi.
Shayad uska waqt khatam hogya hai.
Aaj tumhare alvida ko
1 mahina, 2 hafte aur 3 din hogye hain.
Parr ab toh ghadi toot gyi hai.
Shayad waqt ka hisaab rakhna bhi chhoot jaye…

Alvida k baad bhi ghadi utaari nahi maine.
Iss ghadi ne voh pal bhi bitaaya hai jab hum saath the
Aur voh pal bhi jab unhi palo ki bass yaadei saath thi.
Meri aur yaado ki humesha se banti hai.
Voh kya haina, meri yaad dasht achhi hai
Toh yaad sab hai mujhe.
Sirf achhi yaadei yaad karta hoo aur khush rehta hoo.
Par ab toh ghadi toot gyi hai.
Shayad yaadei yaad karna bhi chhoot jaaye…

'Shayad' likhna zaroori hai
Kyunki waqt ne hi sikhaya hai
Ki zindagi mei 'zaroor' bass maut hai
Baaki sab 'shayad' hai.
Jaise, socha tha tumhari yaado se ubarna namumkin hai,
Par aaj tumhare tofe mei di hui ghadi toot gyi.
Uska waqt khatam hogya hai.

---Rakshit Nair

4 comments:

www.writewithpanache.blogspot.com said...

Such a beauty this piece is! ❤️😭

yamandev said...

Calling this beautiful would be an understatement. Simply the best thing I am going to read on Internet today.

Utsah Arya said...

Beautiful lines! ��

SHITTIZM said...

This straight goes here ❤❤